Ik jaam khanakta jaam
har kali mehve khwab ho jaati patti patti gulab ho jaati tune dalin na mai-fashan nazrein warna shabnam sharaab ho jaati aapke waaste gunah sahi hum piyein to sawaab banti hai sau ghamon ko nichodne ke baad ek qatra sharaab banti hai dekh kar aapki jawani ko aarzu e sharaab hoti hai roz tauba ko todta hoon main roz niyat kharaab hoti saakiya ek jaam peene se janaaatein lad khada ke milti hain laala o gul kalaam karte hain rehmatein muskura kar milti hain ek jaam khanakta jaam ke saaki raaat guzarne waali hai de pyar bhara inaam ke saaki raat guzarne waali hai maine maana janaab peeta hoon bakhuda behisaab peeta hoon log logon ka khoon peete hain main toh phir bhi sharaab peeta hoon shikan na daal jabeen par sharaab dete hue ye muskurati hui cheeez muskura ke pila suroor cheez ki miqdaar par nahi maukoof sharaab kam hai to saaki nazar mila ke pila zindagi ka azab pita hoon ban ke khana kharaab peeta hoon roz e mehshar hisaab ho na sake isliye behis...