likh diya apne dar pe kisi ne iss jagah pyar karna mana hai
shiraza e hayaat pareeshan ho gaya ye marhala bhi khair se aasan ho gaya mere sukoon e dil toh hona hi tha tabah unki bhi ik nigah ka nuksaan ho gaya ishq se humko aashna karke chchup gaya koi saamna karke haay wo intezar ki ghadiyan waqt kaata khuda khuda karke ehle duniya ke haath kya aaya do dilon ko juda juda karke dono aalam ko paa liya maine zindagi ishq mein fana karke tune anjaam khud hi dekh liya bewafa se qamar wafa karke husn waale wafa nahi karte ishq wale daga nahi karte zulf karna toh inki aadat hai yeh kisi ka bhala nahi karte likh diya apne dar pe kisi ne iss jagah pyar karna mana hai pyar agar ho bhi jaaye kisi ko iska izhaar karna mana hai unki mehfil mein jab koi jaaye pehle nazrein wo apni jhukaye wo sanam jo khuda bann gaye hain unka deedar karna mana hai jaag uthenge toh aahein bharenge husn waalon ko ruswa karenge kho gaye hain jo furqat ke maare unke begaar karna mana hai hamne ki arz aye bandaparwar kyun sitam dha rahe yeh mujhpar baa