tanveer e jamaal e khwaja kutab
shohra jahan mein aam hai baba fareed ka har lab pe aaj naam hai baba fareed ka sabir bana koi mehboob bann gaya kya faiz e lutf o aam hai baba fareed ka tanveer e jamaal e khwaja kutab dukhiyon ke sahaare ganj e shakar ham par bhi karam ki ek nazar ham bhi hain tumhaare ganj e shakar jo bhi dar par saayil aate mann ki muraadein sab hain paate ham bhi aapke hain kehlaate ham par bhi baba ek nazar har ek sawaali ko dar se khairaat karam ki milti hai tukdon pe tumhare hote hain mangton ke guzaare ganj e shakar chaukhat pe ghulami karne ko aaye hain nizamuddin sabir waliyon ne guzaare hain sajde kadmon mein tumhaare ganj e shakar hai bojh gunahon ka sar par ruswaayi na ho mehshar mein kahin daaman mein chhupaalije hamko khwaja ke dulaare ganj e shakar achhe hain bure jaise bhi hain tumhaare hain mere baba ganj e shakar ik chashme karam se mangton ko makhdoom banaaya hai tumne ham par bhi koi rehmat ki nazar sarkaar hamaare ganj e shakar allah ki rehm...