Posts

Showing posts with the label manqabat e saadik

munis hai ghamgusar hai aur charasaaz hai

har bashar ke waaste sarmaaya e taskeen hai aapki woh zaat ya baba fareed ud din hai aapji adna tawajjoh ka karishma dekhiye koi sabir bann gaya koi nizam ud din hai munis hai ghamgusar hai aur charasaaz hai ganj e shakar kareem hai bandanawaaz hai jo maangne hai maango lena hai jo bhi le lo sab pe karte hain karam koi adna ho ya aala aye dil muraadein dil kahan paane ki der hai baba ke dar pe haath uthaane ki der hai aaj baba ko ru ba ru karlo jo bhi karni hai aarzu karlo hai sahib e kamaal wo hadi e rehnuma milti hai unko dar se har ik dard ki dawa roze pe unke hota hai deedaar e mustafa aa tu bhi aake dekh le faizan e auliya shaan e ali hai dilbar e shah e hijad hai ganj e shakar kareem hai bandanawaaz hai muddat se aarzu hai yeh mujh khaaksaar ki roze pe leke jaaun main chaadar mazaar ki bipta sunaaun unko dil e bekaraar ki rakhte hain laaj aap har ik sharmsaar ki wo hami e gharib hain bekas nawaaz hain ganj e shakar kareem hai bandanawaaz hai