Bekhud kiye dete hain
Maine masoom baharon mein tumhein dekha hai Maine purnoor sitaron mein tumhein dekha hai Mere mehboob teri parda nasheeni ki kasam Maine ashqon ki kataron mein tumhein dekha hai Jod lagte gaye fasane mein Raaz khulte gaye chhupane mein Roothne ka sabab to tum jaano Hum to masroof hain manane mein Tune tinke samajh ke phoonk diya Meri duniya thi aashiyane mein Mujhe shikwa nahi barbaad rakh barbaad rehne de Magar lillah mere dil mein apni yaad rehne de Bekhud kiye dete hain andaz hijabana Aa dil mein tujhe rakh lun ae jalwa e janana Kya meri baat ka yakin nahin Koi bhi aap sa hasin nahin Be jhijhak dil mein tum chale aao Is makan mein koi makeen nahin Ae sarwe nazreen man az man che deedayi Ik baar keh de az man e miskeen mureedayi Tujhsa hasin nahin nahi teri misaal hai Tere jamaal ain khuda ka jamaal hai Kyun aankh milayi thi kyun aag lagayi thi Ab rukh ko chhupa baithe kar ke mujhe deewana Maine ke be amal hun Lek...