Posts

Showing posts with the label mateh pe bindia hathun pe mehndi munkabat lyrics

mathe pe bindiya hathan mein mehndi

paaon mein paayal bandhe naachun main chham chham ganj e shakar se laagi najariya nainan ki kar kothri jo palak dhamp tohi lun na main dekhun gair ko na tohe dekhan dun pooja karun tumhari hai shauk mere jee ka dil ke maamle mein kyun dakhal ho kisi ka more nain tore sang laag rahe mohe hosh nahi ab tann mann ka main sudh budh apni bhool gayi mukh dekh ke baba saajan ka mathe pe bindiya hathan mein mehndi sar par basanti odhe chunariya paaon mein paayal nchun main chham chham ganj e shakar se laagi najariya to sa jagat mein dekha na bhaala jag se hai joban tora niraala preetam raseele baalam sajeele saajan anokhe chishti sanwariya main duniya ke dukh ki sataayi hun baba liye aas dwaran pe aayi hun baba abhaagan hun tori suhaagan banungi jo pad jaaye ik baar tori najariya aayi hun baba main tore angna kasam khuda ki shahenshah bhi khade bannke gada baba tore angna beparda khuda dekha hai baba tore angna aayi hun baba main tore angna mori chunariya