tere darwaaze pe chilman nahi dekhi jaati
yeh kajravi na meri jaan ikhteyaar karo jo tumse pyar kare tum bhi usse pyar karo kaha jo maine dil beqaraar hai mera toh has ke kehne lage aur beqaraar karo dikhao jaam na bharkar main badakhuar nahi meri nazar ko nazar se gunahgaar karo mehak uthegi jawaani gulaab ki soorat haseen baahon ko mere gale ka haar karo mujhko tasleem main sharaabi hoon phir bhi fitrat ajeeb paayi hai main nazar se sharaab peeta hoon meri rindi bhi paarsaayi hai fikr e soodo ziyaan to chhutegi minnatein een o aan to chhutegi khair do zakh mein mai mile na mile sheikh sahib se jaan to chhutegi shikan na daal jabeen par sharaab dete hue yeh muskurati hui cheez muskura ke pila suroor cheez ke miqdaar par nahi maukoof sharaab kam hai toh saai nazar mila ke pila kuch murakke hain zindagani ke chand unwaan hain kahaani ke chandni zulf raqs sher sharaab mukhtalif naam hain jawaani ke sharaab e shauk ko masti mein laake pita hoon main masira ki nazar se chhupa ke pita hoon rakoon