noor e khuda hai husn saraapa rasool ka
bemisl hai kya shauk tera naayi hai khaalik bhi fida khalq bhi shaidaayi hai khaalik ne muhabbat mein niraale rukh se sarkar ke chehre ki kasam khaayi hai noor e khuda hai husn saraapa rasool ka sar se paa tak noor unka sab gharaana noor ka unki nasl e paak mein hai bachcha bachcha noor ka dono jahaan ka noor muhammad ke roop mein allah ka zahoor muhammad ke roop mein lab noor jabeen noor dahan noor nazar noor gesu ki chamak noor amaame ki damak noor hai khaak ka ghar khaak magar noor ka ghar noor noor e khuda hai husn saraapa rasool ka khud hi khuda e paak hai shaida rasool ka allah ne paas bula hi liya binn dekhe khuda bhi reh na saka takhleeq karke aapko allah ne kaha mera habib meri tarah lajawaab hai yeh aasmaan yeh chaand sitaare unhi se hain jitne hain dilnasheen nazaare unhi se hain thison kalaam e paak ke paare unhi se hain takhleeq e qayanaat hai sadka rasool ka jab kuch nahi tha sirf khudaayi ki zaat thi us din ka tha wajood na maujo...