Posts

Showing posts with the label maikda bhi apna hai lyrics

maikada bhi apna hai

maikada bhi apna hai bazm bhi hamaari hai hamne zindagi saari ishq mein guzaari hai umar to saari kati ishq e butan mein momin aakhiri waqt mein kya khaak musalmaan honge zulf bikhri bihkri si jism jaaga soya sa teri subah keh rahi hai teri raat ka fasaana zulf bikhri bikhri si jism jaaga soya sa raat kiski baahon mein aapne guzaari hai wo jo kal tumhaare the wo guzar gaye jaan se yeh zara bataao to aaj kiski baari hai bheege bheege mausam mein khil gaya hai phoolon sa yeh badan tumhaara hai yeh nazar hamaari hai ham andheri raaton mein noor banke nikle hain hamne apni jaan de ke zindagi sanwaari hai