ye samajh ke mere baba tere dar pe sar jhuka hai
paikar e noor ke tanveer ke sadke jaaun apne khwaabon ke tabeer ke sadke jaaun aashikaara hai tere husn ke haq ki soorat mere aaqa teri tasveer ke sadke jaaun dar e fareed se khairaat paane aaye hain ham apna bigda mukaddar banaane aaye hain ye samajh ke mere baba tere dar pe sar jhuka hai tu khuda nahi hai lekin tere bhes mein khuda hai jhuka ke sar tere aastaan pe mujhe har ik mudda mila hai teri gali chhor dun main kaise teri gali mein khuda mila hai tu wali e kibriya hai tu habeeb e mustafa hai tu hai fatima ka pyara tu ali ka laadla hai bina shak hai teri nawaazish hai nawaazish e muhammad bada khushnaseeb hai woh jise tu nawaazta hai