Posts

Showing posts with the label sar jhukaaya toh patthar sanam bann gaye lyrics

sar jhukaaya toh patthar sanam bann gaye

lekar tumhaara naam jahan sar jhuka diya maine ussi dayaar ko kaaba bana diya sar jhukaaya toh patthar sanam bann gaye ishq bhatka toh haq aashna ho gaya rashq karta hai kaaba mere kufr par maine jis but ko pooja khuda ho gaya gum rahi hai ke mairaaj hai ishq ki aye junoon bol manzil hai yeh kaun si uske ghar ka pata poochte poochte poochne wala khud laapta ho gaya main muhabbat se muh mod leta agar toot padhti yeh bijli kisi aur par mere dil ki tabahi se yeh toh hua kam se kam doosron ka bhala ho gaya waqt e ehbaab parchchayi sooraj kiran log duniya khushi chaandni zindagi mere mehboob ik tere gham ke siwa jo mila raaste mein juda ho gaya kaarobaar e tamanna mein yeh to hua unke kadmon pe marne ka mauka mila zindagi bhar toh ghaata uthaate rahe aaj pehli baar faayda ho gaya aisa bhatka ke lauta nahi aaj tak aisa bichchda ke aaya nahi aaj tak dil to kambakht iska darman walla aapke ghar gaya aapka ho gaya