Posts

Showing posts with the label na duniya na mansab na zar ke liye lyrics

na duniya na mansab na zar ke liye

tamanna hai ke ab yunhi basar hon teri chaukhat pe deewane ka sar ho na duniya na mansab na zar ke liye yeh sar wakf hai tere dar ke liye tumhare dar pe girke phir na uthun kamaal e na tawaan chaahta hun mila meri fitrat ko deewanapan tere husn ne deewana kar ke liye tumhare tabassum ki ik ik ada qayaamat hai ehle nazar ke liye utha dar se chilman ko aye mehve naaz wo aur the jo gash hue barqe jamaal se moosa nahi hoon main mujhe taab e nazar bhi hai utha dar se chilman ko aye mehve naaz dikha apna nukhlav hamar ke liye aasmaani hain haunsle dil ke dikha apna nukhlav hamar ke liye mujhe bhi tera dar muyassar hua jagah mil gayi umar bhar ke liye hamesha hamein dekhna hai tumhein tumhi ho hamari nazar ke liye jo tumhe dekh le phir aur kise ko dekhe ik tamaashayi hai taalib e deedaar nahi muhabbat mein kya kya 'Naseer' ehle dil taraste rahe chaaragar ke liye