hai kahan ka iraada tumhaara sanam
aaj ki baat phir nahi hogi yeh mulaakaat phir nahi hpgi aise baadal toh phir bhi aayenge aisi barsaat phir nahi hogi raat unko bhi yun hua mehsoos jaise yeh raat phir nahi hogi ik nazar mud ke dekhne waale kya yeh khairaat phir nahi hogi shab e gham ki sahar nahi hoti ho bhi toh mere ghar nahi hoti zindagi tu hi mukhtasar ho ja shab e gham mukhtasar nahi hoti raazdaaron se bach ke chalta hoon ghamgusaaron se bach ke chalta hoon mujhko dhokha diya sahaaron ne ab sahaaron se bach ke chalta hoon maine masoom bahaaron mein tumko dekha hai maine purnoor sitaron mein tumhein dekha hai mere mehboob teri pardanasheeni ki kasam maine ashqon ki qataaron mein tumhein dekha hai ham buton se jo pyar karte hain naql e parwardigar karte hain itni kasamein na khao ghabraakar jaao ham aitbaar karte hain ab bhi aa jaao kuch nahi bigda ab bhi ham intezaar karte hain saaz e hasti baja raha hoon main jashn e masti mana raha hoon main kya ada hai nisaar hone ki unse pehlu...