Phiroon dhoondhta maikda tauba tauba
Kar rahi hai dar haqiqat Kaam saaki ki nazar Maikade mein gardish e saagir Baraye naam hain Phiroon dhoondhta maikda tauba tauba Mujhe aajkal itni phursat nahi hai Salamat rahe teri ankhon ki masti Mujhe maikashi ki zaroorat nahi hai Pila nahi Jo gurezan hai Chand paimane Nigah e yaar salamat to hazar maikhane Kharakte jaam ka mohtaj main nahi saaki Teri nigah salamat mujhe kami kya hai Aankhen saaki ki salamat mere dushman tarsen Dohre maikhane hai meri niyat bharne ke liye Suroor cheez ki miqdar par nahi maukuf Sharab kam hai to saaki nazar mila ke pila Jaam par jaam peene se kya faayda Raat guzri to saari utar jayegi Teri nazaron se pi hai khuda ki kasam Umr saari nashe mein guzar jayegi Dil uska namazi ban jaye Ankh uski gulabi ho jaye Tu jise muhabbat se Dekh le Saaki wo sharabi ho jaye Ye tark e ta-alluk ka kya tazkira hai Tumhare siva koi apna nahi ha Agar tum kaho to main Khud ko bhula do...