Posts

Showing posts with the label haram hai kya cheez dair kya hai lyrics

Haram hai kya cheez dair kya hai

Sadka e husn lutate hainwo jab aate hain Bigri taqdeer banate hain wo jab aate hain Jalwa e toor dikhaate hain wo jab aate hain Hosh ke hosh udaate hainwo jab aate hain Ek hi sajde mein taqmeel e ibadat ke liye Hum kadam choomne jaate hain wo jab aate hain Haram hai kya cheez dair kya hai Kisi pe meri nazar nahin hai Main tere jalwon mein kho gaya hoon Mujhe ab apni khabar nahin hai Hasrat e khuld nahin, aarzoo e hoor nahin Tere jalwon ke siway kuchh mujhe manzoor nahin Tujhe sochna muhabbat, tujhe dekhna ibadat Yahi meri bandgi hai, main karoon teri ibadat Jinhein hain darr rah e imtehaan se Unhein abhi yeh khabar nahin hai Agar karam unka rahbar ho Kathin koi rahguzar nahin hai Bashouq e sajda chale hain lekin Ajeeb masliq hai aashiqon ka Wahan ibadat haraam thehri Jahan tera sang e dar nahin hai Teri nawaazish meri musarrat Meri tabahi jalaal tera Kahin nahin hai mera thikana Jo teri seedhi nazar nahin hai Jahan bhi koi hai mitne wala Teri inayat k