kasid ki ummeed hai yaaron
nabzon jawaab de gayin tod raha hai dam koi namabar unse ye kehna nazaaka hangaam hai ibtida ke khat nahi ye aakhiri paigaam hai kasid ki ummeed hai yaaron kaasid to aa jaayega lekin ham us waqt na honge jab unka khat aayega kehte hain kisko dard e muhabbat kaunn tumhein batlaayega pyar kisi se karke dekho khud hi pata chal jaayega kitni lateef shai hai muhabbat na poochiye is meethe meethe dard ki lazzat na poochiye aye dost muhabbat hai wo nazuk si haqeeqat mehsoos jise kar sakte hain samjha nahi sakte thaam ke dil reh jaayenge woh dekh ke meri mayyat ko mera janaaza jab ke nikal kar unki gali se jaayega thokar khaane waale raahi ismein khata rehbar ki nahi jo na chalega dekh ke rasta raah mein thokar khaayega lutne ka afsos baja hai lekin aye lutne waalon kisko khabar thi kaafila aakar manzil pe lut jaayega sheesha e dil us but ne toda purnam ispe hairat kya toot hi jaayega jo sheesha paththar se takraayega