ganj e shakar ke naam ka sadka
ganj e shakar ke naam ka sadka rakh lo mori laaj saabir tumre charan mein aan padi hun kirpa karo maharaj saabir main paap ki phook se darti hun mujhe door na kariyo ya saabir mann mohan ali ahmad pyare dukhiyan ke ghamkhaar saajan bann ke duganiya charnon mein aayi tum hi bharo mori aaj saabir tore charan pe maatha dhar ke apne soye bhaag jagaaun main daasi tore prem nagar ki tum ho more sartaj saabir raaje tohe maharaj pukaarein mangte kahein tohe apna daata har koi to pe bal bal jaaye kaisa hai tora raaj saabir main dukhiyaari bhaagon maari tori or takun more saajan tum jo karo mo pe ek najariya bigde banein more kaaj saabir