Posts

Showing posts with the label yeh joh halka halka suroor he lyrics

ye jo halka halka suroor hai

saakiya kya pila diya tune pite pite jala diya tune na khabar apni hai na aalam ki masto bekhud bana diya tune ye jo halka halka suroor hai ye teri nazar ka kusoor hai ke sharaab peena sikha diya meri bada noshi ke waaste koi kaid e jaam o sabu nahi mujhe kaif rehta har ghadi ye teri nigah ki baat hai tere karam ka bhala kya shumaar hai saaki jise bhi dekha wo mehve khumaar hai saaki wo bada nosh hun mauko hayaat ka jiski teri nazar pe hi daaromdaar hai saaki rahe na koi bhi mehroom tere maston me ke maikade ka tu parwardigar hai saaki wo kaun hai jo tere maikade se bach nkla teri nazron ka to aalam shikaar hai saaki sharaab kaisi khumaar kaisa ye sab tumhaari nawaazishein hain pilaayi hai kis nazar se tune ke mujhko apni khabar nahi hai ye kaisa jaam e muhabbat pila diya tune ke dil mein husn ka naksha jama diya utne tera ata ke tasadduq teri ata ke nisaar main kya tha aur mujhe kya bana diya tune saara jahaan mast jahaan ka nizam mast din mast raat