Posts

Showing posts with the label jab bhi jee chahta hai peene ko lyrics

jab bhi jee chahta hai peene ko

kyun ho jaake wo maikade mein kharaab tu pilaye jise nazar se sharaab allah allah wo tera daure shabaab khul gaya jaise gulsitan ka baab jab bhi jee chahta hai peene ko tera maikhaana yaad aata hai bhool baitha hoon muddaton se jise phir wo afsaana yaad aata hai yaad rehta nahin mujhe peena tod deta hoon saagar o meena jab teri mad bhari nigaahon ka mujhko paimaana yaad aata hai yaad aati hai jab teri mujhko saari duniya ko bhool jaata hoon dil nahin lagta sehne gulshan mein tera veeraana yaad aata hai wo koi badnaseeb hi hoga roshni se nahin hai pyar jise ho gaya jo shaheed ulfat mein wo hi parwaana yaad aata hai log khaate hain jab wafaa ki kasam chot si ek dil pe lagti hai marr mita jo wafaa ki raahon mein aaj deewana yaad aata hai gair samjha jise 'Fareedi' ne dosti ke wohi toh kaabil tha apne sab ho gaye paraye jab wohi begaana yaad aata