kab yaad mein tera saath nahin
kab yaad mein tera saath nahin kab haath mein tera haath nahin sad shukr ke apni raaton mein ab hijr ki koi raat nahin mushkil hain agar haalat wahan dil bech aayein jaan de aayein dil walon koocha e jaana mein kya aise bhi haalat nahin jis dhaj se koi maqtal mein gaya wo shaan salaamat rehti hai yeh jaan toh aani jaani hai is jaan ki toh koi baat nahin maidaan e wafa darbaar nahin ya naam o nasab ki pooch kahaan aashiq toh kisi ka naam nahin kuch ishq kisi kizaat nahin yeh baazi ishq ki baazi hai jo chaahe laga do darr kaisa gar jeet gaye toh kya kehna haare bhi toh baazi maat nahin