waris e ganj e shakar zeeshan sabir kaliyari
ho jaaye hajj e akbari makhdoom sabir kaliyari ghaus ul bara ki aal ho ganje e shakr ke laal ho tum ho nishan e haidari makhdoom sabir kaliyari ganj e shakar ke waasta maston ko kar dije ata saabir sharab e saabiri makhdoom sabir kaliyari waris e ganj e shakar zeeshan sabir kaliyari saare hi waliyon ke hain sultan sabir kaliyari tum ho zohad ul ambiya ki jaan sabir kaliyari hai tumhari shaan bhi kya shaan sabir kaliyari dono pyare kyun na hon baba fareed ud din ke dil nizam ud din aur jaan sabir kaliyari aashiqon ka deen hain aap is mein koi shak nahi aashiqon k aap hain imaan sabir kaliyari maal o zar ka zikr kya hai maal o zar kya cheez hai tum pe mera ghar ka ghar qurban sabir kaliyari bas gaya hai dil mein jab se mushafe rukh aapka bann gaya hai mera dil quran sabir kaliyari dono aalam ki hai daulat aapke darbar mein aap hain aise sakhi dhanwaan sabir kaliyari ghamzada hun lo khabar lakht e dil e ganj e shakar ho karam ki ik nazar sultan sabir kaliyari