Posts

Showing posts with the label may khataein gin ke lyrics

Main khatayen gin ke bataun kya

Raah mein jab koi dushwar makaam aata hai Jaane kyun lab pe mere aap ka naam aata hai Ye tasarruf faqat ek baat par nahi maukuf Jisse nisbat ho wo har haal mein kaam aata hai Na haram ki justju hai na khayal e butkada hai Teri Banda parwari ne mujhe kya bana diya hai Main yahin karunga sajde yahi mera mudda hai Jo mila nahi haram se tere dar se wo mila hai Achcha nahi khota hoon khote ko nibhale Gar tum na sambhalo to Phir kaun sambhale Main khatayen gin ke bataun kya  Ye kahin shumaar ki baat hai Main hoon sharmsaar tu baksh de Tere ikhteyar ki baat hai Mere gunah Zyaada hain ya teri rehmat Kareem tu hi bata de hisab karke mujhe Tu nawazne pe aaye to nawaz de zamana Tu kareem hi Jo thehra to karam ka kya thikana Main zuban se kaise bayan karoon Dil e saugwar ki baat hai Meri chashme tar se sune koi Gham e hijr yaar ki baat hai Kabhi maine tujhse nahin kaha Teri zaat hai mera mudda Mujhe tune apna Samajh liya Tere aitbar ki baat hai Teri yaad mera darman Tera zikr bandagi hai Tu mila h