aankh se door na ho dil se utar jaayega
har kaar e junoon ab toh sawaabi ho jaaye imaan mein tere bhi kharaabi ho jaaye zaahid tu jo dekhe woh nasheeli nazrein meri hi tarah tu bhi sharaabi ho jaaye sar jis pe na jhuk jaaye use dar nahi kehte har dar pe jo jhuk jaaye use sar nahi kehte kya tujhko jahaan waale sitamgar nahi kehte kehte toh hain lekin tere muhn par nahi kehte kaabe mein musalmaan ko bhi keh dete hain kaafir maikhaane mein kaafir ko bhi kaafir nahi kehte aankh se door na ho dil se utar jaayega waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaayega itna maayoos na khalwat e gham se apni tu kabhi khud ko bhi dekhega toh darr jaayega doobte doobte kashti ko uchhaala de doon main nahi koi toh saahil pe utar jaayega zindagi teri ata hai toh yeh jaane waala teri bakshish teri dehleez pe dar jaayega nafs laazim hai magar dukh hai qayaamat ka faraaz zaalim ab ke bhi na royega toh marr jaayega raaz e wafa ko aaj sarre aam kar diya ashqon ka ho bura main badnaam kar diya