botal khuli hai raqs mein jaam e sharaab hai
raat hai mahtaab hai saaki saara mausam sharaab hai saaki baaz lamhaat aise hote hain jin mein pina sawaab hai saaki botal khuli hai raqs mein jaam e sharaab hai woh to khaaliq hai banda parwar hai saari duniya ka rabb e akbar hai mera sarmaaya e hayaat na pooch ek saaki hai ek saagir hai chashm e saaki se talab karke gulaabi dore dil ke zakhmon ko kahin baith ke see leta hoon saagar e mai toh badi cheez hai ik neymat hai ashq bhi ankh mein bhar aayein toh pee leta hoon botal khuli hai raqs mein jaam e sharaab hai aye maikashon tumhari dua kaamyaab hai aise haseen waqt mein peena sawaab hai saaki hai chandni hai chaman hai shabaab hai taskeen ke samaan toh mil jaate hain kuch sahib e imaan toh mil jaate hain saaki yeh dua hai tera iqbal buland maikade mein insaan toh mil jaate hain honton se lagaata hoon toh muskati hai taskeen har andaaz se pahunchati hai mai isliye hai mujhko haseenon se azeez aasaani se sheeshe mein utar jaati hai charagh ...