mere saaki ye tamasha tere maikhane ka
bhool jaun main zamaane ka gila aye saaki haan pila aur pila aur pila aye saaki bandh kuchch aisi muhabbat ki hawa aye saaki phir badal jaaye zamaane ki faza aye saaki khanakte jaam ka mohtaaj main nahi saaki teri nigah salaamat mujhe kami kya hai mere saaki ye tamasha tere maikhane ka jhoom kar aayi hai madmast ghata aye saaki tishna kaami ka na reh jaaye gila aye saaki jaam par jaam diya jaata reh tere maikhaane ki khair pila nahi jo gurezan hain chand paimaane teri nigah salaamat hazaar maikhaane mere saaki ye tamasha tere maikhane ka saari mehfil ko nasha ek hi paimaane ka ab kisi dor se kaabu mein nahi aane ka khalq dekhegi tamasha tere deewane ka baat kehta kuch aisi ke na samjhe koi ye bhi ik gaur talab rang hai deewane ka chashme e saaki hain udhar aur mera dil hai idhar aaj takrao hai paimaane se paimaane ka baat bebaat utha deta hai ik chched nahi pad gaya hai usse chaska mujhe tadpaane ka wo bahar aayi 'Naseer' aur wo uthe baadal jee...