main aur meri aawaargi
phirte hain kabse dar badar ab is nagar ab us nagar ik doosre ke hamsafar main aur meri aawaargi na aashna har rehguzar na meherbaan har ik nazar jaayein to ab jaayein kidhar main aur meri aawaargi ham bhi kabhi aabaad the aise kahan barbaad the befikr the aazaad the masroor the dilshaad the wo chaal aisi chal gaya ham bujh gaye dil jal gaya nikle jala ke apna ghar main aur meri aawaargi wo mahwash wo mahru wo maah e kaamil hu ba hu thi jisjki baatein koo ba koo usse ajab thi guftagu phir yun hua wo kho gayi to mujhko zidd si ho gayi laayenge usko dhoondh kar main aur meri aawaargi yeh dil hi tha jo seh gaya wo baat aisi keh gaya kehne ko phir kya reh gaya ashqon ka darya beh gaya jab kehke wo dilbar gaya tere liye main marr gaya rote hain usko raat bhar main aur meri aawaargi ab gham uthaaein kis liye aansu bahaaein kis liye yeh dil jalayein kis liye yun jaan gawaayein kis liye pesha na ho jiska sitam dhoondhenge ab aisa sanam honge kahi...