Posts

Showing posts with the label must nazron se allah bachchaye lyrics

mast nazaron se allah bachaye

jane waale hamari mehfil se chaand taaron ko saath leta ja ham khizan se nibah kar lenge tu baharon ko saath leta ja khizan ke daur mein ehde bahaar keta hoon koi bhi waqt ho hasn kar guzaar leta hoon gulon se rang sitaron se roshni lekar jamaal e yaar ka naksha utaar leta hoon ye jo deewane se do chaar nazar aate hain inmein kuch sahib e asraar nazar aate hain teri mehfil ka bharam rakhte hain so jaate hain warna ye log to bezaar nazar aate hain mere daaman mein to kaanton ke siwa kuch bhi nahi aap phoolon ke kharidaar nazar aate hain hashar mein meri kaun gawahi dega 'saagir' sab tumhare hi tarafdaar nazar aate hin umar jalwon mein basar ho ye zaroori to nahi har shab e gham ki sahar ho ye zaroori toh nahi neend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai unki aagosh mein sar ho ye zaroori toh nahi aag ko khel patangon ne samajh rakha hai sab ko anjaam ka darr ho ye zaroori toh nahi sheikh karta hai jo masjid mein khuda ko sajde iske sajdon mein asar