jab tasawwur ki nazar mein aa gaye daata mian
karaar loot liya bekaraar chchor gaye bahaar le gaye yaadein bahaar chchor gaye hamari chasme hazeen ka na kuch khayaal kiya wo umar ke liye ahq baar chchor gaye wohi bazm hai wohi dhoom hai wohi aashiqon ka hujoom hai hai kami toh usi chaand ki dahe mazaar chala gaya jab tasawwur ki nazar mein aa gaye daata mian jalwa e ganj e shakar dikhla gaye daata mian khwaab mein jab ik khalak dikhla gaaye daata mian mere dil ko aur bhi tadpa gaye daata mian zindagi bhar aansuon se ham bujha sakte nahi aag aisi hijr ki bhadka gaye daata mian chchup gaye khushiyon ke jalwe aapke jaane ke baad har taraf gham ke andhere chchaa gaye daata mian ham tadapte hain judayi mein tumhari raat din tum ye kya humpe qayamat dhaa gaye daata mian jab sarre mehfil kisi ne zikr chcheda aapka aankh mein purnam ki aansu aa gaye daata mian