Posts

Showing posts with the label mostafa ya mostafa lyrics

mustafa ya mustafa

main gunahon mein ghira hoon kijiye mujhko riha mustafa ya mustafa dukh bhare lamhaat mein is shabe zulmaat mein mujhko hai noor e mujassam hai tera hu aasra mustafa ya mustafa mustafa ya mustafa gham ka maara hoon ya rasool allah besahaara hoon ya rasool allah gham ke maaron ki laaj rakh lije benawaon pe bhi karam kije aap ko yaad kar liya maine kalb ko shaad kar liya maine mera dil bhi nisaar meri jaan bhi nisaar main toh kya tumpe dono jahaan nisaar mustafa ya mustafa mustafa ya mustafa bekason ke liye sahaara hai doobton ke liye kinaara hai rehmatein do jahaan bahaar e karam hai faqat aap hi se mera bharam mustafa ya mustafa mustafa ya mustafa mera dil bhi hai beqaraar o malool bahr e hasnain aye muda ke rasool aeena dard ka hai deeda e tar mere aaka ho karam ki ek nazar mustafa ya mustafa mustafa ya mustafa rehmatal lil aal ameen koi bhi tujhsa naheen khaak tere dar ki hai khaak e shafa mustafa ya mustafa aur mehboob e khuda kaun hai tere siwa