Posts

Showing posts from June, 2016

mujhpe bhi chashme karam

mujhpe bhi chashme karam aye mere aaqa karna haq to mera bhi hai rehmat ka takaaza karna main je zarra hoon mujhe busate sehra de de ke tere bas mein hai qatre ko bhi dariya karna main hoon bekas tera shewa hai sahaara dena main hoon bimaar tera kaam hai achha karna tu kisi ko bhi uthaata nahi apne dar se ke teri shaan ke shaayan nahi aisa karna tere sadke wo ussi rang mein khud hi dooba jisne jis rang mein chaaha mujhe ruswa karna yeh tera kaam hai aye aamina ke durre yatim saari ummat ki shafa-at tanne tanha karna aur un sahaaba ki khushatwaar nigahon ko salaam jinka maslaq tha tawaaf e rukh e zeba karna mujhpe mehshar mein 'Naseer' unki nazar pad hi gayi Kahne wale ise kahte h khuda ka karna