Posts

Showing posts with the label ghazal e bedam shah warsi

aayi naseem e koo e muhammad

aayi naseem e koo e muhammad salallah ho alaihe wasallam khinchne laga dil soo e muhammad salallah ho alaihe wasallam aye saba kya yaad farmaaya hai aaka ne mujhe soo e muhammad kaaba hamaara koo e muhammad salallah ho alaihe wasallam midhat e imaan roo e muhammad salallah ho alaihe wasallam tooba ki jaanib takne waalon aankhe kholo hosh sambhaalo dekho khamein dil joo e muhammad salallah ho alaihe wasallam naam isi ka baab e karam hai dekho yahi mehrab e haram hai ek khamein ab roo e muhammad salallah ho alaihe wasallam khair ul bashar khair ul wara salle ala salle ala shams ud duha badr ud duja salle ala salle ala bheegi bheegi khushboo lehki 'Bedam' dil ki duniya mehki khul gaye jab  gesoo e muhammad salallah ho alaihe wasallam

tumhaare hi hone se aabad hai dil

shab e gham ki sahar nahi hoti ho bhi toh mere ghar nahi hoti zindagi tu hi mukhtasar ho ja shab e gham mukhtasar nahi hoti jod lagte gaye fasaane mein raaz khulte gaye chhupaane mein roothne ka sabab tum jaano ham to masroof hain manaane mein tune tinke samajh ke phoonk diya meri duniya thi aashiyaane mein muhabbat ki koi manzil nahi hai muhabbat maajil hai saahil nahi hai meri afsurdagi pe hasne waale tere pehlu mein shaayad dil nahi hai tumhara teer e nazar dil ke paar ho ke raha dil ne dam bhi na maarashikaar ho ke raha dil ki basti ajeeb basti hai roz ujadti hai roz basti hai tumhaare hi hone se aabad hai dil tumhi jab na hoge to veeran hoga tumhi se hai hasrat tumhi se hai armaan na has hasrat hi hoga na armaan hoga mera dil fida tumpe aur jaan qurbaan tumhi ho meri zindagani ka saaman tumhare hi jab kaam aayi ne yeh jaan toh phir jaan ka kya meri jaan hoga payaami jo dekha hai us se na kehna yeh bechainiyaan meri us se na kehna pareshaaniya...

jaanaana chaahiye dar e jaanaana chaahiye

kaabe ka shauq hai na sanam-khaana chaahiye jaanaana chaahiye dar e jaanaana chaahiye saagar ki arzoo hai na paimaana chaahiye bas ik nigah e murshid e maikhaana chaahiye  jab tak mile na dast e karam se karam ki bheekh darwaaza e kareem se jaana na chaahiye aankhon mein dam ruka hai kisi ke liye zaroor warna mareez e hijr ko marr jaana chaahiye 'Bedam' namaaz e ishq yahi hai khuda gawah har dam tasawwur e rukh e jaanaana chaahiye aur waada andheri raat mein aane ka tha qamar ab chaand chchup gaya unhein aa jaana chaahiye

woh dil hai jo kisi ke husn ka kashaana ho jaaye

woh dil hai jo kisi ke husn ka kashaana ho jaaye wo sar hai jo kisi ki teg ka nazraana ho jaaye ye achchi pardadari hai ye achchi raazdari hai ke jo aaye tumhari bazm mein deewana ho jaaye mera sar kat ke maqtal mein gire kaatil ke kadmon par hamein aakhir ata yun sajda e shukraana ho jaaye yahaan hona na hona hai na hona ain hona hai jise hona ho kuch khaak e dar e janaana ho jaaye wo mai de de jo pehle shibli o mansoor ko di thi wo phir 'Bedam' nisaar e murshid e maikhaana ho jaaye

Bekhud kiye dete hain

Maine masoom baharon mein tumhein dekha hai Maine purnoor sitaron mein tumhein dekha hai Mere mehboob teri parda nasheeni ki kasam Maine ashqon ki kataron mein tumhein dekha hai Jod lagte gaye fasane mein Raaz khulte gaye chhupane mein Roothne ka sabab to tum jaano Hum to masroof hain manane mein Tune tinke samajh ke phoonk diya Meri duniya thi aashiyane mein Mujhe shikwa nahi barbaad rakh barbaad rehne de Magar lillah mere dil mein apni yaad rehne de Bekhud kiye dete hain andaz hijabana Aa dil mein tujhe rakh lun ae jalwa e janana Kya meri baat ka yakin nahin Koi bhi aap sa hasin nahin Be jhijhak dil mein tum chale aao Is makan mein koi makeen nahin Ae sarwe nazreen man az man che deedayi Ik baar keh de az man e miskeen mureedayi Tujhsa hasin nahin nahi teri misaal hai Tere jamaal ain khuda ka jamaal hai Kyun aankh milayi thi kyun aag lagayi thi Ab rukh ko chhupa baithe kar ke mujhe deewana Maine ke be amal hun Lek...