Posts

Showing posts with the label kalam e fareedi

allah hoo jalle shaan

aye khuda aye rahim aye rehmaan main teri qibriyaayi ke qurbaan zindagi teri qayanaat teri wahdahu la shareek zaat teri allah hoo jalle shaan paak muhammad sarware aalam hain teri pehchaan harfa o aala zaat hai teri yakta hai jo baat hai teri teri sana karte hain maula jinn o malak insaan meri khaali jholi bharde mujhpe karam ki baarish karde sabki jholi bharde maula sabki jholi bharne wala tu hi hai sultaan tu hi maalik tu hi khaalik saare jahaan ka tu hi raazik tere naam pe mere aaka sab kuch hai qurbaan seedhi raah dikhlaade humko manzil tak pahunchade humko tu hi rahbar tu hi manzil tujhpe hai imaan hain tere mehboob ki ummat sab nabiyon mein jiski azmat jiske sadke mein baksha hai tune yeh quraan reham fareedi par yeh karna mehshar mein ruswa na karna iski khataaon par na jaana tu hai bada rahmaan