Posts

Showing posts with the label koi mushkil tha mehshar mein unhein kaatil bana dena lyrics

koi mushkil tha mehshar mein unhein kaatil bana dena

koi mushkil tha mehshar mein unhein kaatil bana dena magar kuch soch kar rehman ya chara dua dena na poocha kam saneemi tum daga dene ki tarqeebein jawaani aayegi jab khud sikha degi daga dena koi apna zamaana yaad karke dil bhar aaya tha jo ab aansu koi dekho to mehfil se utha dena main mujrim hun mujhe iqraar hai jurm e muhabbat ka magar pehle khata par gaur karlo phir saza dena main is haalat se pahuncha hashar waale khud pukaar uthe koi fariyaad wala aa raha hai raasta dena ijaazat ho to keh dun qissa e ulfat sarre mehfil mujhe kuch toh fasaana yaad hai kuch tum suna dena 'Qamar' wo sab se chchup kar aa rahe hain fatiha padhne kahun kisse ki meri shama e turbat ko bujha dena