Posts

Showing posts with the label dil hai sanam khaana mera jab se basi soorat teri lyrics

dil hai sanam khaana mera jab se basi soorat teri

kya karun daulat e ukba ki tamanna karke mutmayin hoon main dar e yaar pe sajda karke kufr ko manzil e maqsood banaaya hamne yaar ki zulf se imaan ka sauda karke hamne yeh bandagi ka tareeka bana liya apne sanam ko yaad kiya sar jhuka liya dil hai sanam khaana mera jab se basi soorat teri kaafir hoon tere ishq mein masliq hai mera kaafiri bann gaye butparast ham soorat e yaar dekh kar kaafir hoon main tere ishq mein kaafir e ishq hoon main banda e islam nahi butparasti ke siwa aur mujhe kaam nahi banda e ishq am musalmani mara darkar nest har rag e oo daar kashta haajat e zunnar nest imaan ka but tod de tasbi musalla chhor de dekhe koi zaahid agar teri ada e dilbari meri ibaadat hai yahi chhorun na tera butkada puja karun teri sanam takta rahun soorat teri yun bazm e zindagi mein ujaala karenge ham tujhko bitha ke saamne pooja karenge ham pooja karun tumhari hai shauk mere ji ka dil ke maamle mein kyhun dakhl ho kisi ka meri namaaz yahi hai ke poojta h