shikwa
kyun ziyaankaar banun sood faraamosh rahun fikr e farda na karun mehwe gham e dosh rahun naale bulbul ke sunoon aur hamatan gosh rahun hamnawa main bhi koi gul hoon ke khaamosh rahun jurrat aamoz miri taab e sukhan hai mujhko shikwa allah se khaakam badaahan hai mujhko hai baja shewa e tasleem mein mashoor hain ham kissa e dard sunaate hain ke majboor hain ham saaz e khaamosh hain fariyaad se maamoor hain ham naala aata hai agar lab pe to mazoor hain ham aye khuda shikwa e arbaabe e wafa bhi sun le khugar e hamd se thoda sa gila bhi sun le thi toh maujood azal se hi teri zaat e kadeem phool tha zaib e chaman par na pareeshan thi shameem sharat insaaf hai aye sahib e altaaf e ameem boo e gul phailti kis tarah jo hoti na naseem humko jameeyat e khaatir yeh pareshaani thi warna ummat tere mehboob ki deewani thi humse pehle tha ajab tere jahaan ka manzar kahin masjood the patthar kahin maabood shajar khugar e paikar e mehsoos thi insaan ki nazar maanta phir ...