Posts

Showing posts with the label kalam e hamid baig alam

ye roz o shab ki betaabi

ye roz o shab ki betaabi ye lutf e jaavidaan kya hai bajuz ishq e nabi meri in ankhon se rawan kya hai simat jaate nahi kyun faasle shehr e muhammad ke main aksar sochta rehta hoon aakhir darmiyan kya hai salaamat hai abhi tak aashiyan toh hai karam unka main toh nadaan tha danista bhi kya kya na kiya laaj rakh li mere lajpal ne ruswa na kiya dar e huzur kisi benawa se band nahi khula hi rehta hai baab e karam ata ke liye salaamat hai abhi tak aashiyan toh hai karam unka wagar na meri himmat ka meri taab o tawa kya hai muyassar ho jise apne nabi ke naam ki rimjhim phir uske waaste kali ghata ka saayban kya hai khule hain unki azmat ke 'Alam' sidra se bhi aage zameen o aasman kya hai makaan o lamaakan kya hai