Posts

Showing posts with the label kalam e peer naseer

mujhpe bhi chashme karam

mujhpe bhi chashme karam aye mere aaqa karna haq to mera bhi hai rehmat ka takaaza karna main je zarra hoon mujhe busate sehra de de ke tere bas mein hai qatre ko bhi dariya karna main hoon bekas tera shewa hai sahaara dena main hoon bimaar tera kaam hai achha karna tu kisi ko bhi uthaata nahi apne dar se ke teri shaan ke shaayan nahi aisa karna tere sadke wo ussi rang mein khud hi dooba jisne jis rang mein chaaha mujhe ruswa karna yeh tera kaam hai aye aamina ke durre yatim saari ummat ki shafa-at tanne tanha karna aur un sahaaba ki khushatwaar nigahon ko salaam jinka maslaq tha tawaaf e rukh e zeba karna mujhpe mehshar mein 'Naseer' unki nazar pad hi gayi Kahne wale ise kahte h khuda ka karna

usman ke laal aapka darbar hai aali ajmer ke waali

usman ke laal aapka darbar hai aali ajmer ke waali sayil tere darbaar se jaata nahi khali ajmer ke waali tum ibn e ali fatima zahra ke dulaare hasnain ke pyaare waliyon mein tune paayi hai lya shaan niraali ajmer ke waali tum naayib e rasool ho aye hind ke raja ajmer ke khwaja khush mard hai wo jispe nazar tune hai daali ajmer ke waali dede mujhe kuch waali e baghdaad ka sadka ajdaad ka sadka bhar dijiye yeh daaman e ummeed hai khaali ajmer ke waali jaisa bhi hoon tera hoon bura hoon ya bhala hoon ya khwaja maharaja jaisa bhi hoon tera hoon hoon gunahgaar beshak main hoon toh tera banda tu agar mujhe nibha le teri banda parwari hai tera gham meri musarrat tera dard zindagi hai tu karam se jo bhi dede teri bandaparwari hai acha nahi khota hoon main khote ko nibhaale gar tum na sambhaalo toh mujhe kaun nsambhaale yeh maan liya laayak e darbaar nahi main yeh bhi na sahi kaabil e deedar nahi main har chand agar aapke darkaar nahi main kya banda bhi tera m...

tere dar pe main aaya hoon sultan

raah mein jab koi dushwaar makaam aata hai jaane kyun lab pe mere aapka naam aata hai yeh tasarruf faqat ek baat par nahi hoti jisse nisbat ho wo har haal mein kaam aata hai na haram ki justju hai na khayal e butkada hai teri bandaparwari ne mujhe kya bana diya hai main yahin karunga sajde yahi mera mudda hai jo mila nahi haram se tere dar se wo mila hai tere dar pe main aaya hoon sultan mera tujh bin sahaara nahin hai tere deedar e rukh ke ilaawa meri dil mein tamanna nahi hai ab kahan jaaun aye dar e sultan tera dar chchor kar kisse mangun tere tukdon se palta raha hoon koi dar aur dekha nahi hai maine dekhe haseenon mein aalam koi tujhsa anokha nahi hai jabse dekhi hai soorat tumhari koi nazron mein jachta nahi hai ye bhi mazhar hain shan e nabi ke hai baharein madina yahan bhi dekh le mere sultan ka auda jisne taiba ko dekha nahi hai aaj bhar de inaayat se daaman de de shah e madina ka sadka pher na dar se sahil ko khali yeh kareemon ka shewa...

roz e azal khaalik ne jaari

roz e azal khaalik ne jaari pehla yeh farmaan kiya unka banaakar shah e rasoolan do jag ka sultan kiya shaan e abul kasim dekho toh rabb e jahaan e jiske liye jibraeel ko rutba bakhsha us dar ka darbaan kiya bhej ke ham mein mehboob apna deen ke nukte samjhaaye parde parde ne ummat ki bakhshish ka saaman kiya unka waseela rabb ki rehmat ka hila bann jaata hai nooh ki naiya paar lagayi mushkil ko aasaan kiya deen uska duniya bhi uski har shai ka mukhtaar hai woh jisne unke naam pe apna tann mann dhan qurbaan kiya roza e paak ki jaali choomi dar pe sajda rez rahe hamne madine jaakar dil ka poora har armaan kiya sadke jaaun 'Naseer' us aaka us maula ki rehmat par raah dikhaakar us dar ki mujh nirdhan par ehsaan kiya

na duniya na mansab na zar ke liye

tamanna hai ke ab yunhi basar hon teri chaukhat pe deewane ka sar ho na duniya na mansab na zar ke liye yeh sar wakf hai tere dar ke liye tumhare dar pe girke phir na uthun kamaal e na tawaan chaahta hun mila meri fitrat ko deewanapan tere husn ne deewana kar ke liye tumhare tabassum ki ik ik ada qayaamat hai ehle nazar ke liye utha dar se chilman ko aye mehve naaz wo aur the jo gash hue barqe jamaal se moosa nahi hoon main mujhe taab e nazar bhi hai utha dar se chilman ko aye mehve naaz dikha apna nukhlav hamar ke liye aasmaani hain haunsle dil ke dikha apna nukhlav hamar ke liye mujhe bhi tera dar muyassar hua jagah mil gayi umar bhar ke liye hamesha hamein dekhna hai tumhein tumhi ho hamari nazar ke liye jo tumhe dekh le phir aur kise ko dekhe ik tamaashayi hai taalib e deedaar nahi muhabbat mein kya kya 'Naseer' ehle dil taraste rahe chaaragar ke liye

mei zeest pur musarrat

mei zeest pur musarrat kabhi thi na hai na hogi koi behtareen soorat kabhi thi na hai na hogi mujhe husn ne sataaya mujhe ishq ne mitaaya kisi aur ki yeh haalat kabhi thi na hai na hogi main yeh jaante hue bhi teri anjuman mein aaya ke tujhe meri zaroorat kabhi thi na hai na hogi jo gila kiya hai tumse to samajh ke tumko apna mujhe gair se shikaayat kabhi thi na hai na hogi yeh karam hai doston ka jo woh keh rahe hain sabse ke 'Naseer' par inaayat kabhi thi na hai na hogi

aastan hai yeh kis shah e zeeshan ka marhaba marhaba

allah re kya baargah e ghaus e jali hai gardan ko jhukaye hue ek ek wali hai har gaam pe sajde ki tamanna hai jabeen ko yeh kiska dar e naaz hai yeh kiski gali hai aastan hai yeh kis shah e zeeshan ka marhaba marhaba sajde jahaan karte hain aake farishte malak sar jhukaate hain wali ankhein bichchaate hain ee baargah e hazrat e ghaus saqlain ast na kade qamar e haider o nasle hasnain ast maadarsh hussaini nasab asto pidare oo zaulaade hassan yani karim ul abawain ast jhuki bahr e ibadat jab shah e baghdad ke dar par ajab taukeer e sajda apni paishani pe dekhi hai alb haibat se larzan hai insaan ka marhaba marhaba hai asar bazm pe kiske faizaan ka marhaba marhaba ghar basaane meri chashme veeraan ka marhaba marhaba chaand nikla hassan ke shabistaan ka marhaba marhaba sar ki zeenat amaama hai irfaan ka marhaba marhaba jhukta tann phir muhammad ke ehsaan ka marhaba marhaba rang aankhon mein zahra ke faizaan ka marhaba marhaba roop chehre pe aayat e quran ka mar...

unke andaaz e karam unpe woh aana dil ka

unke andaaz e karam unpe woh aana dil ka haaaye wo bazm wo baate wo zamaana dil ka mujhe yaad hai woh zara zara unhein woh yaad ho ya na yaad ho na suna usne tawwajoh se fasaana dil ka umr guzari hai magar dard na jaana dil ka dillagi dil ki lagi bann ke mita deti hai dillagon se dillagi achchi nahi rone waalon se hasi achchi nahi dil lagake pata chala dil ko aashiqui dillagi nahi hoti kya khabar thi ke ishq ke haathon aisi haalat tabah hoti hai baat karta hoon dam ulajhta hai saans leta hoon aah hoti hai zakhm pe zakhm khaa ke jee apne lahu ke ghoont pee aah na kar labon ko see ishq hai dillagi nahi dillagi dil ki lagi bann ke mita deti hai rog dushman ko bhi ya rabb na lagaana dil ka woh bhi apne na hue dil bhi gaya haathon se aise aane se toh behtar tha na aaana dil ka naksh par aab nahi veham nahi khwaab nahi aap kyun khel samajhte hain mitaana dil ka  unki mehfil mein 'Naseer' unke tabassum ki kasam dekhte reh gaye hum haath se ja...

mere saaki ye tamasha tere maikhane ka

bhool jaun main zamaane ka gila aye saaki haan pila aur pila aur pila aye saaki bandh kuchch aisi muhabbat ki hawa aye saaki phir badal jaaye zamaane ki faza aye saaki khanakte jaam ka mohtaaj main nahi saaki teri nigah salaamat mujhe kami kya hai mere saaki ye tamasha tere maikhane ka jhoom kar aayi hai madmast ghata aye saaki tishna kaami ka na reh jaaye gila aye saaki jaam par jaam diya jaata reh tere maikhaane ki khair pila nahi jo gurezan hain chand paimaane teri nigah salaamat hazaar maikhaane mere saaki ye tamasha tere maikhane ka saari mehfil ko nasha ek hi paimaane ka ab kisi dor se kaabu mein nahi aane ka khalq dekhegi tamasha tere deewane ka baat kehta kuch aisi ke na samjhe koi ye bhi ik gaur talab rang hai deewane ka chashme e saaki hain udhar aur mera dil hai idhar aaj takrao hai paimaane se paimaane ka baat bebaat utha deta hai ik chched nahi pad gaya hai usse chaska mujhe tadpaane ka wo bahar aayi 'Naseer' aur wo uthe baadal jee...