Posts

Showing posts with the label nisaar baba fareed tujh par ajeeb tera makaam hai lyrics

nisaar baba fareed tujh par ajeeb tera makaam hai

dilbare khwaja qutab faiz lutaane waale mere baba hain gharibon ko nibhaane waale mere masood piya main teri azmat ke nisar sar jhukaate hain tere dar pe zamaane waale meri jholi mein bhi kuchh daal de khairat e karam chistiya faiz zamaane mein lutaane waale marhaba teri sakhaawat hai badi ganj e shakar maangne waalon ko sultan banaane waale koi mehboob bana aur koi saabir baba kya se kya bann gaye nisbat teri paane waale nisaar baba fareed tujh par ajeeb tera makaam hai zamaana uske kadam ko choome jo tere dar ka ghulam hai banaye takdeer bekason ki teri nazar ka yeh kaam hai hamein bhi khairat de karam ki karam tera sab pe aam hai jo bhi dar pe saayil aata mann ki muraadein sab hai paata main bhi aapka hoon kehlaata bheekh mujhe de de baba tumhari nisbat se bekason ko mili hai khwaja ki roshni tumhare sadke se mere baba kamaal e saabir nizam hai