jab nazar se milayi maza aa gaya
mere rashq e qamar tune pehli nazar jab nazar se milayi maza aa gaya barq si gir gayi kaam hi kar gayi aag aisi lagayi maza aa gaya jaam mein ghol kar husn ki mastiyan chaandni muskuraayi maza aa gaya chand ke saaye mein aye mere saakiya tune aisi pilayi maza aa gaya nasha sheeshe mein angrayi lene laga bazm e rindan mein saagar khanakne laga maikade pe barasne lagin mastiyan jab ghata ghir ke chchayi maza aa gaya behijabana wo saamne aa gaye aur jawaani jawaani se takra gayi ankh unki ladi yun meri ankh se dekh kar ye ladayi maza aa gaya ankh mein thi haya har mulaakaat par surkh aariz hue husn ki baat par usne sharma ke mere sawaalaat pe aise gardan jhukayi maza aa gaya shaikh sahib ka imaan bik hi gaya dekh kar husn e saaki pighal hi gaya aaj se pehle ye kitne maghroor the lut gayi paar sayi maza aa gaya aye 'Fana' shukr hai aaj baade fana usne rakh li mere pyar ki aabroo apne haathon se usne meri qabr par chaadre gul chadayi maza aa gaya