chalo salaam karein aise aastaane ko
chalo salaam karein issi ke nakshe kadam ke zarron ne maah o anjum ko noor baksha issi ke dar ke gadagaron ne insaaniyat ko shaoor baksha issi ki khaatir toh haq ne sehra ko jalwa e kohatur bakhsha jo iska gham leke marr gaya hai khuda ne usko zaroor bakhsha chalo salaam karein aise aastaane ko hussain paal kar jisne diya zamaane ko main kya bayaan karoon baab e faatima ka waqar farishte khalq hue jispe aane jaane ko wisl bhi aisa ki nok e sina ki manzil par quran rabb ne diya bolna sikhaane ko benasl hone ka taana mila jo mursal ko khuda ne faatima de di nasl badhaane ko hussain paal kar jisne diya zamaane ko chalo salaam karein aise aastane ko