Posts

Showing posts with the label hadd e kunfikan se guzar gaya lyrics

hadd e kunfikan se guzar gaya

fikr e manzil hai na hosh e jada e manzil mujhe jaa raha hoon jis taraf le jaa raha hai dil mujhe kisi se meri manzil ka pata paaya nahi jaata jahaan man hun farishton se wahaan jaaya nahi jaata hadd e kunfikan se guzar gaya hadde lamakaan se guzar gaya teri justju mein khabar nahi main kahaan kahaan se guzar gaya kabhi misl e mauj e hawa e gul kabhi bann ke dood e fughan e dil tere shauk e deed mein baarha tere aastaan se guzar gaya yeh toh apna apna hai hausla yeh to apni apni udaan hai koi ud ke reh gaya baam tak koi kehkashaan se guzar gaya shab e hijr has ke guzaar li gham e ishq dil se laga liya mere jazbe shauk ki daad de main har inteha se guzar gaya wo makaam dair o haram bane wahin sab ki gardanein kham hui wahin sar basajda hui jabeen tu jahaan jahaan se guzar gaya