mujhpe bhi chashme karam

mujhpe bhi chashme karam aye mere aaqa karna
haq to mera bhi hai rehmat ka takaaza karna

main je zarra hoon mujhe busate sehra de de
ke tere bas mein hai qatre ko bhi dariya karna

main hoon bekas tera shewa hai sahaara dena
main hoon bimaar tera kaam hai achha karna

tu kisi ko bhi uthaata nahi apne dar se
ke teri shaan ke shaayan nahi aisa karna

tere sadke wo ussi rang mein khud hi dooba
jisne jis rang mein chaaha mujhe ruswa karna

yeh tera kaam hai aye aamina ke durre yatim
saari ummat ki shafa-at tanne tanha karna

aur un sahaaba ki khushatwaar nigahon ko salaam
jinka maslaq tha tawaaf e rukh e zeba karna

mujhpe mehshar mein 'Naseer' unki nazar pad hi gayi
Kahne wale ise kahte h khuda ka karna

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha