Iss shan e karam ka kya kehna
Nawaazta hai jo sab ko wo dil nawaaz hai tu
Niyaz mand hain sab aur beniyaz hai tu
Zamane bhar ke banata hai bigre kaam
Kareem saare zamane ka kaarsaaz hai tu
Iss shane karam ka kya kehna
Dar pe Jo sawali aate hain
Ik teri kareemi ka sadka
Wo mann ki muraadein paate hain
Khaali na rahi rehmat se teri
Dukh dard ke maaron ki jholi
Kya tera karam hai dar pe tere
Bharti hai hazaron ki jholi
Mushqil ko tu aasan bana deta hai
Har un chahe ummeed jaga deta hai
Taqdeer se ho jaye Jo bhai juda
Us bhai ko tu bhai se mila deta hai
Din raat hai mangton ka phera
Kya khoob sakhi hai dar tera
Milti hai karam ki bheekh unhein
Daman Jo yahan phailate hain
Iss dar sakhawat kya kahiye
Pakke rishte teri rehmat se Jo bann jaate hain
Kachche dhage se bandhe log chale aate hain
Tu mila deta hai bichchde hue insanon ko
Tere andaze karam shaan ye dekhate hain
Is dar ki sakhawat kya kahiye
Khali na gaya mangta koi
Muhtaj yahan Jo aate hain
Wo jholiyan bhar ke jaate hain
Comments
Post a Comment