Khazane rehmat ke bat rahe hain
Konain ka masjood hai mabood hai tu
Har shai teri shahid hai ki mashoor hai tu
Har ek ke lab par hai teri hamd o sana
Har saaz mein har souz mein maujood hai tu
Tazeem se leta hai khuda naam e Muhammad
Kya naam hai e salle Allah naam e Muhammad
Allah kare uspe haram aatishe do zakh
Jis shakhs ke ho dil pe Likha naam e Muhammad
Jis dil mein Muhammad ki mohabbat nahi hoti
Us par kabhi Allah ki rehmat nahi hoti
Mera ye aqeeda hai agar zikr e khuda mein
Ye naam na shamil ho ibadat nahi hoti
Main jaun aur kahin kyun kahin sada ke liye
Dar e rasool hi kafi hai mujh gada ke liye
Khazane rehmat ke bat rahe hain
Nabi hamara bada sakhi hai
Aata hai fakiron pe unhe pyar kuch Aisa
Khud bheekh de Aur khud kahe mangton ka bhala ho
Ye darbar e Muhammad hai yahan milta hai bin mange
Arre nadaan yahan pe haath phailaya nahi karte
Mere aaka ka ye andaz taraham dekho
Bheekh ke saath fakiron ko dua dete hain
Jab sawali dar e daulat pe sada dete hain
Mere aaka unhe hajat se siwa dete hain
Kareem ki hai karam nawazi
Hamari jholi bhari hui hai
Mujhe mil gayi dono alam ki shahi
Mera unke mangton mein naam aa gaya hai
Khaliq ne mujhko meri talab se siwa diya
Sarmaya dara ishq e Muhammad bana diya
Saaki ne aaj banda e ehsaan bana diya
Dali wo nazar ki musalman bana diya
Khaate the zamane ki thokarein Jo the gada
Unki gali mein aaye to sultan ban gaye
Sarshar maston ne khud masroor kar diya
Khud ho gaye kareeb mujhe door kar diya
Kuch iss ada se aaj wo pehlu nasheen rahe
Jab tak hamare pass rahe hum nahi rahe
Idhar udhar na phiro gadaon
Habib e dawar ke dar pe jao
Jo mangna hai unhi se mango
Huzur ke ghar mein kya kami hai
Jehda ghar mange ohnu ghar denda
Jehda zar mange ohnu zar denda
Khuda deta hai par deta hai
Sadka Muhammad ka
Bada sakhi hai madine wala
Bada sakhi hai Kali kamli wala
Dar e Muhammad pe kya kami hai
Karodon mangte hain ik sakhi hai
Meri nabi ki hai shaan bala
Bada sakhi hai madine wala
Humein to Jo kuch bhi mil raha hai
Ye meherbani huzur ki hai
Mohabbaton ka aseer achcha
Dar e nabi ka fakeer achcha
Jise bhi nisbat hai mustafa se
Bada mukaddar ka wo dhani
Meri to unse nisbat hai
Khaar kya gul ke pass hote nahi
Unse nisbat nahi to kuch bhi nahi
Gar ye daulat nahi to kuch bhi nahi
Isse badhkar meri khushi kya hai
Meri to unse nisbat hai
Jamaal e dair o haram
Unke saamne ye roshni kya hai
Rishte tamaam todkar dono jahan se main
Kaho masta ho gaya hoon sakhi astaan se main
Koocha e yaar ko Allah salamat rakhe
Kyun ki meri to unse nisbat hai
Humko matlab hai na kaabe se na butkhane se kyunke
Ab to meri to unse nisbat hai
Jise bhi nisbat hai mustafa se
Bada mukaddar ka wo dhani hai
Comments
Post a Comment