aafreen aafreen

husn e jaana ki tareef mumkin nahin
aafreen aafreen aafreen aafreen
tu bhi dekhe agar to kahe hamnasheen
aafreen aafreen aafreen aafreen

aisa dekha nahin khoobsoorat koi
jism jaise ajanta ki moorat koi
jism jaise nigahon pe jadu koi
jism nagma koi jism khushboo koi
jism jaise machalti hui raagini
jism jaise mehakti hui chaandni
jism jaise ke khilta hua ek chaman
jism jaise ke sooraj ki pehli kiran
jism tarsha hua dilkash o dilnasheen
sandalin sandalin marmarin marmarin
aafreen aafreen aafreen aafreen

chehra ek phool ki tarah shaadab hai
chehra uska hai ya koi mehtaab hai
chehra jaise ghazal chehra jaan e ghazal
chehra jaise kali chehra jaise janwal
chehra jaise tasawwur ki tasveer bhi
chehra ik khwaab bhi chehra tabeer bhi
chehra koi alif lail ki daastaan
chehra ik pal yakeen chehra ik pal ghumaan
chehra jaise ke jaisa kahin bhi nahin
maahru maahru mehjabeen mehjabeen
aafreen aafreen aafreen aafreen

aankhein dekhin to main dekhta reh gaya
jaam do aur dono hi do atisha
aankhein ya maikade ke yeh do baab hain
aankhein inko kahun ya kahun khwaab hain
aankhein neechin huin to haya bann gayin
aankhein unchin huin to dua bann gayin
aankhein uth kar jhukin to ada bann gayin
aankhein jhuk kar uthin to kaza bann gayin
aankhein din mein hain qaid o aasmaan o zameen
nargisi nargisi surmayin surmayin
aafreen aafreen aafreen aafreen

zulf e jaana ki bhi lambi hai daastaan
zulf ki meri dil pe hain parchchaayiyaan
zulf jaise ke umdi hui ho ghata
zulf jaise ke ho koi kali bala
zulf uljhe to duniya pareshaan ho
zulf suljhe to ye zeest aasaan ho
zulf bikhre siha raat chchaane lage
zulf lehraaye to raat gaane lage
zulf zanjeer hai phir bhi kitni haseen
reshmi reshmi ambarin ambarin
aafreen aafreen aafreen aafreen

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil