aag daman mein lag jayegi

jaam mein jaam ka shabaab ho tum
main sharaabi hoon aur sharaab ho tum

chaand tumko salaam kyun na kare
chaandni raat ka jawaab ho tum

tum ko padh ke har ik sabak bhoola
wo kahaani ho wo kitaab ho tum

dil hamaara uda liya tumne
apne maksad mein kaamyab ho tum

aag daaman mein lag jayegi dil mein shola machal jayega
mera saagar na chchoona kabhi saakiya haath jal jayega

mere ashq bhi hain isme ye sharaab ubal na jaye
mera jaam chchoone wale tera haath jal na jaye

sakiya ek jaam peene se jannatein ladkhada ke milti hain
laala o gul kalaam karte hain rehmatein muskura ke milti hain

aap ke waaste gunah sahi hum piye to sawaab banti hai
sau ghamon ko nichodne ke baad ek qatra sharaab banti hai

ek din wo zuroor aayenge dard ka saaya dhal jayega
iss zamaane ki parwah nahi ye zamaana badal jayega

aa gaya meri aankhon mein gham ab to jalwa dikha dijiye
aapki baat reh jayegi mera armaan jal jayega

maikashon us nazar ki suno keh rahi hai wo shola badan
mai nahi jaam mein aag hai jo piyega wo jal jayega

besabab hamse rootho na tum ye ladayi buri cheez hai
sulha kar lo khuda ke liye ye bura waqt tal jayega

door hain jab talak tumse hum kaise hoga madaawa e gham
ik dafa tum milo to sanam gham khushi mein badal jayega

saawan aaya baadal chchaye gul gul chehki phool khile
aane waale sab aa pahunche aakhir tum kab aaoge

koi aansu nahi aankh mein baat ghar ki abhi ghar mein hai
tum jo yun hi satate rahe dard ashqon mein dhal jayega

gar yun hi ghar mein baitha laga maar dalengi tanhaiyan
chal kisi maikade mein chalein aye fana dil bahal jayega

zindagi ka azaab peete hain bann ke khaana kharaab peete hain
log logon ka khoon peete hain hum toh phir bhi sharaab peete hain

do toh qatre hain jaam ke andar
harz kya hai janaab pi lijiye

fasl e gul hai janaab pi lije harz kya hai sharaab pi lije
aage chalkar hisaab hona hai iss liye behisaab pi lije

aye zaahid mujhe janaat ka talabgaar na kar jo bas mein tere nahi wo iqraar na kar
do rind nahi masti tera masliq saaki ke tasawwuf se toh inkaar na kar

aye waahiz aa sharaab pi le tu kar na kuch sharaab pi le
main maanu teri namaaz pi lun tu meri maan sharaab pi le


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha