aankh se door na ho dil se utar jaayega

har kaar e junoon ab toh sawaabi ho jaaye
imaan mein tere bhi kharaabi ho jaaye
zaahid tu jo dekhe woh nasheeli nazrein
meri hi tarah tu bhi sharaabi ho jaaye

sar jis pe na jhuk jaaye use dar nahi kehte
har dar pe jo jhuk jaaye use sar nahi kehte
kya tujhko jahaan waale sitamgar nahi kehte
kehte toh hain lekin tere muhn par nahi kehte
kaabe mein musalmaan ko bhi keh dete hain kaafir
maikhaane mein kaafir ko bhi kaafir nahi kehte

aankh se door na ho dil se utar jaayega
waqt ka kya hai guzarta hai guzar jaayega

itna maayoos na khalwat e gham se apni
tu kabhi khud ko bhi dekhega toh darr jaayega

doobte doobte kashti ko uchhaala de doon
main nahi koi toh saahil pe utar jaayega

zindagi teri ata hai toh yeh jaane waala
teri bakshish teri dehleez pe dar jaayega

nafs laazim hai magar dukh hai qayaamat ka faraaz
zaalim ab ke bhi na royega toh marr jaayega

raaz e wafa ko aaj sarre aam kar diya
ashqon ka ho bura main badnaam kar diya

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil