ab kitni haseen meri ibaadat ki ghari hai

kam se kam ishq mein laazim hai ke itna kar lun
tujhko poojun tujhe chaahun tujhe sajda kar lun

yun bazm e zindagi mein ujaala karenge hum
tujhko bithaake sajda karenge hum

ab kitni haseen meri ibaadat ki ghari hai
sang e dar e mehboob se takdeer lari hai

aye jaan e jahaan gauhar e maqsood ata kar
parda chehre se hata deed ka sauga kar de
apne jalwon se hi kaafir ko musalmaan kar de

main tere dar pe yeh umeed liye baitha hoon
aye sanam aaj mukammal mera imaan kar de

aye jaan e jahaan gauhar e maqsood ata kar
sahil ki sada sun teri sarkaar badi hai

uthunga na ab dar se tere jaan e tamanna
qaidi hun tera paaon mein zanjeer jadi hai

begaana hua baitha hoon duniya ki talab se
shaida hoon tera meri nazar tujhse lari hai

bakshi hai tere ishq ne kya shaan niraali
duniya tere deewane ke kadmon mein padi hai

aasin hun fana saare zamaane se bura hoon
lekin meri sarkaar ki rehmat toh badi hai

Comments

Popular posts from this blog

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha

tumhaare hi hone se aabad hai dil