ankh se ankh milao toh koi baat bane

aaj roothe hue saajan ko bahut yaad kiya
apne ujde hue gulshan ko bahut yaad kiya

jab kabhi gardish e takdeer ne ghera hai hamein
gesu e yaar ki uljhan ko bahut yaad kiya

aaj toote hue sapnon ki bahut yaad aayi
aaj beete hue saawan ko bahut yaad kiya

hamein nazron se peena aa gaya hai
kinare par safeena aa gaya hai

ankh se ankh milao toh koi baat bane
rukh se zulfon ko hatao toh koi baat bane

teer chchup chchup ke chalaane se bhala kya haasil
bejhijhak saamne aao toh koi baat bane

ab toh aa jao bakhuda
gair koi pass nahi

wo toor hi tha jo jal gaya tha
wo kaleem hi the jo gir pade the

zamaane bhar ko soorat dikhayi jaati hai
hamaare naam pe chilman girayi jaati hai

musa nahi hoon main
mujhe taab e nazar bhi hai zara

jalwa tumhara jab nazar nahi aata mujhe
jee chahta hai aag laga loon nazar ko main

wo aur the jo mashhoor
hue barke jamaal se

surma ankhon mein lagaane se nahi hota shingaar
mehndi mein lagao toh koi baat bane

jaam bhar bhar ke toh ham roz piya karte hain
aaj nazaron se pilaao toh koi baat bane

jaam par jaam lene se kya faayda
aaj nazaron se pilaao

hame nazaron se peena aa gaya hai
ab toh jeena aa gaya hai

ankh jis phool pe daalo
wohi paimaana bane

ye jawaani ye haseen raat hai chup chup ke usse
pyar ka geet sunao toh koi baat bane

jiski ankhon mein chchalakte hue paimaane the
phir usse dhoondh ke laao to koi baat bane


Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha