bazm e jahaan machal gayi

bazm e jahaan machal gayi chaand ka dil hila diya
shayad kisi kaseen ne rukh se naqaab utha liya

aaya jo mere saamne bann sanwar ke woh sanam
bann gaye butparast hum deen o imaan luta diya

haq parasti mein kabhi dil ka sahaara na hua
but parasti ke siwa haq ka nazaara na hua

dil mein haq jalwa numa tha mujhe maloom na tha
main na tha khud hi khuda tha mujhe maloom na tha
gair haq jaan ke but ko na kiya tha sajda
tu aye but sajda rawa tha mujhko maloom na tha

kaafir e ishq hue ham toh sanaa bhool gaye
na wo but yaad raha naam e khuda bhool gaye

besoorati hai soorat soorat parast ho ja
hai khaas haqparasti tu butparast ho ja

aisa hashar bapa diya us but e husn e naaz ne
zulf e do taar sanwaar kar kaafir mujhe bana diya

aye gham e yaar shukriya jab se hua hai tu ata
mere rafaqt o raaz ka naam o nishan mita diya

kab tha sakoon e dil mujhe kab tha shaoor e bandagi
lekin kisi ki yaad ne jeena mujhe sikha diya


Comments

Popular posts from this blog

Dekhne ko ya muhammad yun to kya dekha nahi

vigar gayi ae thode dina ton

Ae wada shikan khwab dikhana hi nahi tha